ta-hadd-e-nazar koi bhi dam-saz nahin hai
tā-hadd-e-nazar koī bhī dam-sāz nahīñ hai
yā phir mirī chīḳhoñ meñ hī āvāz nahīñ hai
hangāme haiñ is darja bapā ḳhalvat-e-jāñ meñ
ab dil ke dhaḌakne kī bhī āvāz nahīñ hai
shāyad maiñ usī ek kahānī kā huuñ kirdār
anjām hai jis kā magar āġhāz nahīñ hai
allāh ye kyā manzil-e-arzānī-e-jāñ hai
qātil haiñ har ik moḌ pe dam-sāz nahīñ hai
jo ḳhat hai lifāfe meñ use ġhaur se paḌhiye
chehra mire hālāt kā ġhammāz nahīñ hai
ta-hadd-e-nazar koi bhi dam-saz nahin hai
ya phir meri chiKHon mein hi aawaz nahin hai
hangame hain is darja bapa KHalwat-e-jaan mein
ab dil ke dhaDakne ki bhi aawaz nahin hai
shayad main usi ek kahani ka hun kirdar
anjam hai jis ka magar aaghaz nahin hai
allah ye kya manzil-e-arzani-e-jaan hai
qatil hain har ek moD pe dam-saz nahin hai
jo KHat hai lifafe mein use ghaur se paDhiye
chehra mere haalat ka ghammaz nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.