ta hashr rahe ye dagh dil ka
tā hashr rahe ye daaġh dil kā
yā-rab na bujhe charāġh dil kā
ham se bhī tunak-mizāj hai ye
paate hī nahīñ dimāġh dil kā
yaañ ātish-e-ishq se shab o roz
dahke hai paḌā ayāġh dil kā
us rashk-e-chaman kī yaad meñ hai
shādāb hamesha baaġh dil kā
jiine kā mazā usī ko hai bas
jis shaḳhs ko ho farāġh dil kā
hai bāda-e-ġham se tere din raat
labrez yahāñ ayāġh dil kā
ma.alūm nahīñ kisī ko 'rañgīñ'
de kaun hameñ surāġh dil kā
ta hashr rahe ye dagh dil ka
ya-rab na bujhe charagh dil ka
hum se bhi tunak-mizaj hai ye
pate hi nahin dimagh dil ka
yan aatish-e-ishq se shab o roz
dahke hai paDa ayagh dil ka
us rashk-e-chaman ki yaad mein hai
shadab hamesha bagh dil ka
jine ka maza usi ko hai bas
jis shaKHs ko ho faragh dil ka
hai baada-e-gham se tere din raat
labrez yahan ayagh dil ka
malum nahin kisi ko 'rangin'
de kaun hamein suragh dil ka
- Book : Intekhab-e-Zarrin Urdu Ghazal (Pg. 95)
- Author : Khvaja Mohammad Zakriya
- Publication : Sangat Publishers (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.