ta na paDe KHalal kahin aap ke KHwab-e-naz mein
tā na paḌe ḳhalal kahīñ aap ke ḳhvāb-e-nāz meñ
ham nahīñ chāhte kamī apnī shab-e-darāz meñ
aur hī rañg aaj hai āriz-e-gul-azār kā
ḳhūn-e-dil apnā thā magar go na ruḳh-e-tarāz meñ
kyūñki na aadhī aadhī raat jaage vo jis kā dhyān ho
āhu-e-nīm-ḳhvāb meñ nargis-e-nīm-bāz meñ
ḳhusrav-e-aish-e-vasl-e-yār jāñ-kanī aur kohkan
apnā jigar to ḳhuuñ huā ishq ke imtiyāz meñ
bin tire bazm-e-sūr meñ haiñ ye qabāhateñ ki hai
naġhma-e-sūr kā asar naġhma-e-nai-navāz meñ
un se ab iltifāt kī ġhair ko haiñ shikāyateñ
sun ke mirā mubālaġha minnat-e-ehtirāz meñ
kyā sabhī siine jal chuke kyā sabhī dil pighal chuke
bū-e-kabāb ab nahīñ āh-e-jigar-gudāz meñ
parda-nashīñ ke ishq meñ parda-darī na ho kahīñ
hotī haiñ be-hijābiyāñ jān-e-nahufta-rāz meñ
raḳhna-e-dar se ġhair paas dekhā kise ki aaj hai
raḳhna-garī kuchh aur hī nāla-e-raḳhna-sāz meñ
yād-e-butāñ meñ laakh baar fart-e-qalaq se ham bhī to
baiThe uThe haiñ 'momin' aap gir rahe shab namāz meñ
ta na paDe KHalal kahin aap ke KHwab-e-naz mein
hum nahin chahte kami apni shab-e-daraaz mein
aur hi rang aaj hai aariz-e-gul-azar ka
KHun-e-dil apna tha magar go na ruKH-e-taraaz mein
kyunki na aadhi aadhi raat jage wo jis ka dhyan ho
aahu-e-nim-KHwab mein nargis-e-nim-baz mein
KHusraw-e-aish-e-wasl-e-yar jaan-kani aur kohkan
apna jigar to KHun hua ishq ke imtiyaz mein
bin tere bazm-e-sur mein hain ye qabahaten ki hai
naghma-e-sur ka asar naghma-e-nai-nawaz mein
un se ab iltifat ki ghair ko hain shikayaten
sun ke mera mubaalagha minnat-e-ehtiraaz mein
kya sabhi sine jal chuke kya sabhi dil pighal chuke
bu-e-kabab ab nahin aah-e-jigar-gudaz mein
parda-nashin ke ishq mein parda-dari na ho kahin
hoti hain be-hijabiyan jaan-e-nahufta-raaz mein
raKHna-e-dar se ghair pas dekha kise ki aaj hai
raKHna-gari kuchh aur hi nala-e-raKHna-saz mein
yaad-e-butan mein lakh bar fart-e-qalaq se hum bhi to
baiThe uThe hain 'momin' aap gir rahe shab namaz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.