ta-qayamat nahin zawal hamein
tā-qayāmat nahīñ zavāl hameñ
us ne baḳhshā hai vo kamāl hameñ
ham ki raushan kitāb vaale haiñ
pūchhiye koī bhī savāl hameñ
gardish-e-vaqt apne kal kī soch
is qadar kar na pā.emāl hameñ
ham tire ahd kī amānat haiñ
apne siine meñ rakh sambhāl hameñ
ek be-rañg kitāb kī sūrat
mez par yuuñ na tū uchhāl hameñ
chāñd tāroñ ne āsmāñ se kahā
āmad-e-shams hai sambhāl hameñ
ta-qayamat nahin zawal hamein
us ne baKHsha hai wo kamal hamein
hum ki raushan kitab wale hain
puchhiye koi bhi sawal hamein
gardish-e-waqt apne kal ki soch
is qadar kar na paemal hamein
hum tere ahd ki amanat hain
apne sine mein rakh sambhaal hamein
ek be-rang kitab ki surat
mez par yun na tu uchhaal hamein
chand taron ne aasman se kaha
aamad-e-shams hai sambhaal hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.