ta-umr aashna na hua dil gunah ka
tā-umr āshnā na huā dil gunāh kā
ḳhāliq bhalā kare tirī tirchhī nigāh kā
tanhā mazā uThātā hai dil rasm-o-rāh kā
biinā to hai pe bas nahīñ chaltā nigāh kā
jī bhar ke dekh luuñ to kar is jurm par shahīd
yuuñ apne sar pe ḳhuun na le be-gunāh kā
ronā jo ho to ro le bas ai chashm vaqt-e-naza.a
ab aaj ḳhātma bhī hai roz-e-siyāh kā
pahuñchā ke ham ko qabr meñ jaate haiñ apne ghar
lījiye unhoñ ne vaada kiyā thā nibāh kā
taqdīr hashr se hameñ laa.ī bahisht meñ
armān dil meñ rah gayā us dād-ḳhvāh kā
pā-posh naaz kartī hai un kī zamīn par
chashmak-zan-e-sip.har hai gosha kulāh kā
dekhā na kārvāñ ne palaT kar ki kaun huuñ
merī tarah na ho koī vāmāñda raah kā
manzil ke qat.a karne kā mohkam huā jo qasd
ik ik daraḳht ḳhizr banā merī raah kā
Dho.e kahāñ tak is tan-e-ḳhākī ko umr bhar
ab ruuh ko mile koī gosha nibāh kā
behtar kahīñ the mujh se vo mai-ḳhvār sāqiyā
hiila jo DhūñDte rahe afu-e-gunāh kā
ashkoñ kā silsila kahīñ TuuTe bhī ai firāq
thak bhī chuke qadam mirī fariyād o aah kā
ik tujh pe munhasir nahīñ ai ḳhizr kar na naaz
har rāh-rau ko taktā hai vāmāñda raah kā
rakkhā jināñ meñ bhī hameñ maġhmūm tā-abad
iqrār ham se le ke hamāre gunāh kā
iz.hār-e-ġham kiyā to ye us ne diyā javāb
chehra gavāhī detā hai jhūTe gavāh kā
ġhauġhā-e-hashr dil meñ samātā nahīñ mire
hañgāma yaad hai mujhe furqat meñ aah kā
bhijvā diyā bahisht meñ pūchhā na dil kā haal
kyā ḳhuub faisla kiyā is dād-ḳhvāh kā
kyā jāniye talāsh-e-asar meñ kahāñ ga.ī
ab tak kahīñ pata na lagā merī aah kā
siine meñ apne naala o shevan kā shor hai
mātam hamesha hai dil-e-ġhufrāñ-panāh kā
yūsuf ko ai sip.har kueñ meñ girā to de
manzūr imtihāñ hai zuleḳhā kī chaah kā
kyūñkar na ahl-e-bazm meñ ai 'shād' ho rusūḳh
nemul-badal huuñ 'rāsiḳh'-e-ġhufrāñ-panāh kā
ta-umr aashna na hua dil gunah ka
KHaliq bhala kare teri tirchhi nigah ka
tanha maza uThata hai dil rasm-o-rah ka
bina to hai pe bas nahin chalta nigah ka
ji bhar ke dekh lun to kar is jurm par shahid
yun apne sar pe KHun na le be-gunah ka
rona jo ho to ro le bas ai chashm waqt-e-naza
ab aaj KHatma bhi hai roz-e-siyah ka
pahuncha ke hum ko qabr mein jate hain apne ghar
lijiye unhon ne wada kiya tha nibah ka
taqdir hashr se hamein lai bahisht mein
arman dil mein rah gaya us dad-KHwah ka
pa-posh naz karti hai un ki zamin par
chashmak-zan-e-siphar hai gosha kulah ka
dekha na karwan ne palaT kar ki kaun hun
meri tarah na ho koi wamanda rah ka
manzil ke qata karne ka mohkam hua jo qasd
ek ek daraKHt KHizr bana meri rah ka
Dhoe kahan tak is tan-e-KHaki ko umr bhar
ab ruh ko mile koi gosha nibah ka
behtar kahin the mujh se wo mai-KHwar saqiya
hila jo DhunDte rahe afu-e-gunah ka
ashkon ka silsila kahin TuTe bhi ai firaq
thak bhi chuke qadam meri fariyaad o aah ka
ek tujh pe munhasir nahin ai KHizr kar na naz
har rah-rau ko takta hai wamanda rah ka
rakkha jinan mein bhi hamein maghmum ta-abad
iqrar hum se le ke hamare gunah ka
izhaar-e-gham kiya to ye us ne diya jawab
chehra gawahi deta hai jhuTe gawah ka
ghaugha-e-hashr dil mein samata nahin mere
hangama yaad hai mujhe furqat mein aah ka
bhijwa diya bahisht mein puchha na dil ka haal
kya KHub faisla kiya is dad-KHwah ka
kya jaaniye talash-e-asar mein kahan gai
ab tak kahin pata na laga meri aah ka
sine mein apne nala o shewan ka shor hai
matam hamesha hai dil-e-ghufran-panah ka
yusuf ko ai siphar kuen mein gira to de
manzur imtihan hai zuleKHa ki chah ka
kyunkar na ahl-e-bazm mein ai 'shad' ho rusuKH
nemul-badal hun 'rasiKH'-e-ghufran-panah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.