tab ko aaftab mein dekha
taab ko āftāb meñ dekhā
aab mauj-e-sarāb meñ dekhā
rū-e-zebā-e-yār ko ham ne
shaiḳh jī ke naqāb meñ dekhā
rang-e-bechūñ-o-bechagonī ko
misl-e-dariyā habāb meñ dekhā
ek nukte meñ bahr-e-ilm jahāñ
tere ruḳh kī kitāb meñ dekhā
mujh meñ is tarah to hai poshīda
jaise bū ko gulāb meñ dekhā
ḳhvesh-o-begāna kī ḳhabar na rahī
tum ko jaise ki ḳhvāb meñ dekhā
terī mastī-e-ishq meñ saaqī
jism jām-e-sharāb meñ dekhā
barq kahte haiñ ai 'qamar' jis ko
vahī jalva itaab meñ dekhā
tab ko aaftab mein dekha
aab mauj-e-sarab mein dekha
ru-e-zeba-e-yar ko hum ne
shaiKH ji ke naqab mein dekha
rang-e-bechun-o-bechagoni ko
misl-e-dariya habab mein dekha
ek nukte mein bahr-e-ilm jahan
tere ruKH ki kitab mein dekha
mujh mein is tarah to hai poshida
jaise bu ko gulab mein dekha
KHwesh-o-begana ki KHabar na rahi
tum ko jaise ki KHwab mein dekha
teri masti-e-ishq mein saqi
jism jam-e-sharab mein dekha
barq kahte hain ai 'qamar' jis ko
wahi jalwa itab mein dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.