tab zarre hain agar ho to wahi dil ho jae
taab zarre haiñ agar ho to vahī dil ho jaa.e
aam jalva hai tirā jo mutahammil ho jaa.e
terā har sho.abada ai husn haqīqat Thahre
ham koī naqsh banā leñ to vo bātil ho jaa.e
laakh be-bāk nigāhoñ se nigāheñ laḌ jaa.eñ
ek sahmī sī nazar ho to vo qātil ho jaa.e
Dūbnā shart-e-safar hai mujhe ai shorish-e-bahr
varna girdāb ko duuñ hukm to sāhil ho jaa.e
tujh ko qudrat hai ki har zarre ko ik dil kar de
mujh ko hasrat hai ki jo dil hai mirā dil ho jaa.e
apnī tasvīr-e-majāzī koī rakh do ki kahīñ
kārvān-e-nigah-e-shauq ko manzil ho jaa.e
himmat-e-ishq ki hai husn kī fitrat kā ye raaz
sau ko bismil kare aur ek kā bismil ho jaa.e
aaj tak tak na sake dil koī apne qābil
tum ki patthar ko jo taako to vahī dil ho jaa.e
haif apne safar-e-shauq kī qismat 'rizvī'
paañv thak jaa.eñ jahāñ bas vahīñ manzil ho jaa.e
tab zarre hain agar ho to wahi dil ho jae
aam jalwa hai tera jo mutahammil ho jae
tera har shoabada ai husn haqiqat Thahre
hum koi naqsh bana len to wo baatil ho jae
lakh be-bak nigahon se nigahen laD jaen
ek sahmi si nazar ho to wo qatil ho jae
Dubna shart-e-safar hai mujhe ai shorish-e-bahr
warna girdab ko dun hukm to sahil ho jae
tujh ko qudrat hai ki har zarre ko ek dil kar de
mujh ko hasrat hai ki jo dil hai mera dil ho jae
apni taswir-e-majazi koi rakh do ki kahin
karwan-e-nigah-e-shauq ko manzil ho jae
himmat-e-ishq ki hai husn ki fitrat ka ye raaz
sau ko bismil kare aur ek ka bismil ho jae
aaj tak tak na sake dil koi apne qabil
tum ki patthar ko jo tako to wahi dil ho jae
haif apne safar-e-shauq ki qismat 'rizwi'
panw thak jaen jahan bas wahin manzil ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.