taban the dil ke dagh ki wo mehrban na tha
tābāñ the dil ke daaġh ki vo mehrbāñ na thā
jaltā rahā charāġh ki vo mehrbāñ na thā
be-nūr thā charāġh mirī bazm-e-shauq kā
be-bāda thā ayāġh ki vo mehrbāñ na thā
har chand ye ravish thī bahut sabr-āzmā
ham bhī the bad-dimāġh ki vo mehrbāñ na thā
'fitrat' ik ek kar ke huī ḳhatm har umiid
bujhte rahe charāġh ki vo mehrbāñ na thā
taban the dil ke dagh ki wo mehrban na tha
jalta raha charagh ki wo mehrban na tha
be-nur tha charagh meri bazm-e-shauq ka
be-baada tha ayagh ki wo mehrban na tha
har chand ye rawish thi bahut sabr-azma
hum bhi the bad-dimagh ki wo mehrban na tha
'fitrat' ek ek kar ke hui KHatm har umid
bujhte rahe charagh ki wo mehrban na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.