tabir se mahrum tere KHwab bahut the
ta.abīr se mahrūm tire ḳhvāb bahut the
saada sī kahānī thī magar baab bahut the
aa lagtī kināre se mirī kashtī-e-jāñ bhī
shāyad ki mire paañv meñ girdāb bahut the
be-nām hue naam kī takrīm ke hāthoñ
pahchāntā kyā koī ki alqāb bahut the
afsos tamavvuj unheñ sāhil pe na laayā
anmol guhar varna tah-e-āb bahut the
har lahza badaltī huī rut bas meñ nahīñ thī
joban pe thī barsāt to shādāb bahut the
kuchh ham bhī bahut se ga.e namnāk havā meñ
kuchh tum bhī to āmāda-e-ī.jāb bahut the
ham apne hī pāband nahīñ the kabhī 'yāsir'
uTh aa.e ki taqrīb ke ādāb bahut the
tabir se mahrum tere KHwab bahut the
sada si kahani thi magar bab bahut the
aa lagti kinare se meri kashti-e-jaan bhi
shayad ki mere panw mein girdab bahut the
be-nam hue nam ki takrim ke hathon
pahchanta kya koi ki alqab bahut the
afsos tamawwuj unhen sahil pe na laya
anmol guhar warna tah-e-ab bahut the
har lahza badalti hui rut bas mein nahin thi
joban pe thi barsat to shadab bahut the
kuchh hum bhi bahut se gae namnak hawa mein
kuchh tum bhi to aamada-e-ijab bahut the
hum apne hi paband nahin the kabhi 'yasir'
uTh aae ki taqrib ke aadab bahut the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.