taeron ki uDan mein hum hain
tā.eroñ kī uḌaan meñ ham haiñ
is khule āsmān meñ ham haiñ
āḳhir-e-kār hijr ḳhatm huā
aur pas-māñdgān meñ ham haiñ
kyuuñ na ho ḳhauf-e-inhidām-e-dil
isī ḳhasta makān meñ ham haiñ
ham faqat terī guftugū meñ nahīñ
har suḳhan har zabān meñ ham haiñ
aur koī nazar nahīñ aatā
is zamīn āsmān meñ ham haiñ
kyā duā kī qubūliyat 'ashfāq'
sab ke vahm-o-gumān meñ ham haiñ
taeron ki uDan mein hum hain
is khule aasman mein hum hain
aaKHir-e-kar hijr KHatm hua
aur pas-mandgan mein hum hain
kyun na ho KHauf-e-inhidam-e-dil
isi KHasta makan mein hum hain
hum faqat teri guftugu mein nahin
har suKHan har zaban mein hum hain
aur koi nazar nahin aata
is zamin aasman mein hum hain
kya dua ki qubuliyat 'ashfaq'
sab ke wahm-o-guman mein hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.