taib nahin hun be-KHud-o-sarshaar bhi nahin
taib nahin hun be-KHud-o-sarshaar bhi nahin
Jagdish Sahay Saxena
MORE BYJagdish Sahay Saxena
taa.ib nahīñ huuñ be-ḳhud-o-sarshār bhī nahīñ
jo is tarah piye vo gunahgār bhī nahīñ
zindān-e-rang-o-bū meñ guzārī hai umr yuuñ
āzād bhī nahīñ huuñ giraftār bhī nahīñ
itnī sī baat hai vo taġhāful-shi.ār hai
gar mehrbāñ nahīñ to sitamgār bhī nahīñ
kyā pūchhte ho āshiq-e-be-dil kī aarzū
jab dil nahīñ to hasrat-e-dīdār bhī nahīñ
bole ki tum ko qatl kiyā maiñ ne kis tarah
dekho zarā ki haath meñ talvār bhī nahīñ
vīrāñ kiyā hai yaas ne yuuñ bāġh-e-ārzū
phūloñ kā zikr kyā hai vahāñ ḳhaar bhī nahīñ
gar dostoñ ke lutf kā qaa.il nahīñ huuñ maiñ
lab par mire shikāyat-e-aġhyār bhī nahīñ
taib nahin hun be-KHud-o-sarshaar bhi nahin
jo is tarah piye wo gunahgar bhi nahin
zindan-e-rang-o-bu mein guzari hai umr yun
aazad bhi nahin hun giraftar bhi nahin
itni si baat hai wo taghaful-shiar hai
gar mehrban nahin to sitamgar bhi nahin
kya puchhte ho aashiq-e-be-dil ki aarzu
jab dil nahin to hasrat-e-didar bhi nahin
bole ki tum ko qatl kiya main ne kis tarah
dekho zara ki hath mein talwar bhi nahin
viran kiya hai yas ne yun bagh-e-arzu
phulon ka zikr kya hai wahan KHar bhi nahin
gar doston ke lutf ka qail nahin hun main
lab par mere shikayat-e-aghyar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.