tak-e-taza par ada-e-taza-tar rakh dijiye
tāk-e-tāza par adā-e-tāza-tar rakh dījiye
kuchh na kuchh baḳhshish sabā ke haath par rakh dījiye
dījiye mat guftugū kī raah us be-rāh ko
an-kahī kī teġh-e-uryāñ par sipar rakh dījiye
kāñpne lagtā hai us lāchār kā niilā badan
shab ke zaanū par agar ghabrā ke sar rakh dījiye
ālam-e-getī kī be-lutfī se ghabrā.e na dil
chāhiye to ik tamāshā.ī digar rakh dījiye
lamha-e-maujūd kā dukh bāñTne ko do ghaḌī
khol kar sab pair se lipTe safar rakh dījiye
kāvish-e-nau dekhiye aur kāsa-e-ummīd meñ
ik nazar aur ek harf-e-mo'tabar rakh dījiye
mū-qalam rakh dījiye paanī kī maujoñ par 'abīr'
āb-jū par ik binā-e-mustaqar rakh dījiye
tak-e-taza par ada-e-taza-tar rakh dijiye
kuchh na kuchh baKHshish saba ke hath par rakh dijiye
dijiye mat guftugu ki rah us be-rah ko
an-kahi ki tegh-e-uryan par sipar rakh dijiye
kanpne lagta hai us lachaar ka nila badan
shab ke zanu par agar ghabra ke sar rakh dijiye
aalam-e-geti ki be-lutfi se ghabrae na dil
chahiye to ek tamashai digar rakh dijiye
lamha-e-maujud ka dukh banTne ko do ghaDi
khol kar sab pair se lipTe safar rakh dijiye
kawish-e-nau dekhiye aur kasa-e-ummid mein
ek nazar aur ek harf-e-mo'tabar rakh dijiye
mu-qalam rakh dijiye pani ki maujon par 'abir'
aab-ju par ek bina-e-mustaqar rakh dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.