tan kar sine ko chalne hi nahin deti mujhe
tan kar sine ko chalne hi nahin deti mujhe
Mohsin Aftab Kelapuri
MORE BYMohsin Aftab Kelapuri
taan kar siine ko chalne hī nahīñ detī mujhe
buzdilī ghar se nikalne hī nahīñ detī mujhe
koshisheñ apnī taraf se kar ke maiñ ne dekh liiñ
zindagī lekin sambhalne hī nahīñ detī mujhe
hoñT par taale lagā kar chhīn letī hai qalam
zahar-e-dil duniyā ugalne hī nahīñ detī mujhe
sochtā huuñ maiñ bhī ho jā.ūñ zamāne kī tarah
par mirī fitrat badalne hī nahīñ detī mujhe
mere siine meñ jo patthar hai pighal jaatā magar
jo anā mujh meñ hai jalne hī nahīñ detī mujhe
tan kar sine ko chalne hi nahin deti mujhe
buzdili ghar se nikalne hi nahin deti mujhe
koshishen apni taraf se kar ke main ne dekh lin
zindagi lekin sambhalne hi nahin deti mujhe
honT par tale laga kar chhin leti hai qalam
zahar-e-dil duniya ugalne hi nahin deti mujhe
sochta hun main bhi ho jaun zamane ki tarah
par meri fitrat badalne hi nahin deti mujhe
mere sine mein jo patthar hai pighal jata magar
jo ana mujh mein hai jalne hi nahin deti mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.