taq-e-mazi mein jo rakkhe the saja kar chehre
tāq-e-māzī meñ jo rakkhe the sajā kar chehre
le ga.ī tez havā ġham kī uḌā kar chehre
jin ke hoñToñ pe tarab-ḳhez hañsī hotī hai
vo bhī rote haiñ kitāboñ meñ chhupā kar chehre
karb kī zard tikonoñ meñ ka.ī tirchhe ḳhutūt
kis qadar ḳhush thā maiñ kāġhaz pe banā kar chehre
mū-qalam le ke mire shahr kī dīvāroñ par
kis ne likkhā hai tirā naam miTā kar chehre
log phirte haiñ bhare shahr kī tanhā.ī meñ
sard jismoñ kī salīboñ pe uThā kar chehre
taq-e-mazi mein jo rakkhe the saja kar chehre
le gai tez hawa gham ki uDa kar chehre
jin ke honTon pe tarab-KHez hansi hoti hai
wo bhi rote hain kitabon mein chhupa kar chehre
karb ki zard tikonon mein kai tirchhe KHutut
kis qadar KHush tha main kaghaz pe bana kar chehre
mu-qalam le ke mere shahr ki diwaron par
kis ne likkha hai tera nam miTa kar chehre
log phirte hain bhare shahr ki tanhai mein
sard jismon ki salibon pe uTha kar chehre
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 194)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999)
- Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.