tarik ujalon mein be-KHwab nahin rahna
tārīk ujāloñ meñ be-ḳhvāb nahīñ rahnā
us ziist ke dariyā ko pāyāb nahīñ rahnā
sarsabz jazīroñ kī ubhregī shabāhat bhī
us ziist samundar ko be-āb nahīñ rahnā
is hijr-e-musalsal kī aadat bhī kabhī hogī
hoñToñ pe sadā ġham kā zahrāb nahīñ rahnā
chhan chhan ke bahegā din bādal kī ridāoñ se
sūraj kī shuāoñ ko nāyāb nahīñ rahnā
us raat ke māthe par ubhreñge sitāre bhī
ye ḳhauf añdheroñ kā shādāb nahīñ rahnā
tarik ujalon mein be-KHwab nahin rahna
us zist ke dariya ko payab nahin rahna
sarsabz jaziron ki ubhregi shabahat bhi
us zist samundar ko be-ab nahin rahna
is hijr-e-musalsal ki aadat bhi kabhi hogi
honTon pe sada gham ka zahrab nahin rahna
chhan chhan ke bahega din baadal ki ridaon se
suraj ki shuaon ko nayab nahin rahna
us raat ke mathe par ubhrenge sitare bhi
ye KHauf andheron ka shadab nahin rahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.