tarikiyon ko aag lage aur diya jale
tārīkiyoñ ko aag lage aur diyā jale
ye raat bain kartī rahe aur diyā jale
us kī zabāñ meñ itnā asar hai ki nisf shab
vo raushnī kī baat kare aur diyā jale
tum chāhte ho tum se bichhaḌ ke bhī ḳhush rahūñ
ya.anī havā bhī chaltī rahe aur diyā jale
kyā mujh se bhī aziiz hai tum ko diye kī lau
phir to merā mazār bane aur diyā jale
sūraj to merī aañkh se aage kī chiiz hai
maiñ chāhtā huuñ shaam Dhale aur diyā jale
tum lauTne meñ der na karnā ki ye na ho
dil tīrgī meñ gher chuke aur diyā jale
tarikiyon ko aag lage aur diya jale
ye raat bain karti rahe aur diya jale
us ki zaban mein itna asar hai ki nisf shab
wo raushni ki baat kare aur diya jale
tum chahte ho tum se bichhaD ke bhi KHush rahun
yani hawa bhi chalti rahe aur diya jale
kya mujh se bhi aziz hai tum ko diye ki lau
phir to mera mazar bane aur diya jale
suraj to meri aankh se aage ki chiz hai
main chahta hun sham Dhale aur diya jale
tum lauTne mein der na karna ki ye na ho
dil tirgi mein gher chuke aur diya jale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.