Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tarikiyon mein hum jo giraftar ho gae

Karrar Noori

tarikiyon mein hum jo giraftar ho gae

Karrar Noori

MORE BYKarrar Noori

    tārīkiyoñ meñ ham jo giraftār ho ga.e

    shāyad sahar se pahle bedār ho ga.e

    ye kaun maqām-e-rah-o-rasm hai ki vo

    itne hue qarīb ki bezār ho ga.e

    manzil samt tujh ko na le jā.eñge kabhī

    vo rāste jo aap hamvār ho ga.e

    nākāmiyoñ ne aur bhī sarkash banā diyā

    itne hue zalīl ki ḳhuddār ho ga.e

    ab ke to nok-e-ḳhār bhī gul-rañg ho chalī

    kal dekhnā ki dasht bhī gulzār ho ga.e

    'nūrī' hameñ jahāñ meñ masarrat thī talāsh

    āḳhir har ek shaḳhs ke ġham-ḳhvār ho ga.e

    tarikiyon mein hum jo giraftar ho gae

    shayad sahar se pahle hi bedar ho gae

    ye kaun sa maqam-e-rah-o-rasm hai ki wo

    itne hue qarib ki bezar ho gae

    manzil ki samt tujh ko na le jaenge kabhi

    wo raste jo aap hi hamwar ho gae

    nakaamiyon ne aur bhi sarkash bana diya

    itne hue zalil ki KHuddar ho gae

    ab ke to nok-e-KHar bhi gul-rang ho chali

    kal dekhna ki dasht bhi gulzar ho gae

    'nuri' hamein jahan mein masarrat ki thi talash

    aaKHir har ek shaKHs ke gham-KHwar ho gae

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 421)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now