tawil-e-ahd-e-fan hi to wahshat ka hal nahin
tāvīl-e-ahd-e-fan hī to vahshat kā hal nahīñ
pesh-e-nazar junūn hai yaaro ġhazal nahīñ
ab is ke baad ahd kī tārīk raat hai
ye iḳhtitām-e-shām hai sub.h-e-azal nahīñ
ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shu.ūr hai
ye irtiqā hai zehn kā koī ḳhalal nahīñ
ik umr ratjagoñ kī aziyyat meñ kaaT dī
ab mere ḳhvāb niiñd kā radd-e-amal nahīñ
kyā kyā atā-e-ne.amat-e-rabb-e-karīm hai
lekin 'samīr' dard kā nemul-badal nahīñ
tawil-e-ahd-e-fan hi to wahshat ka hal nahin
pesh-e-nazar junun hai yaro ghazal nahin
ab is ke baad ahd ki tarik raat hai
ye iKHtitam-e-sham hai subh-e-azal nahin
ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai
ye irtiqa hai zehn ka koi KHalal nahin
ek umr ratjagon ki aziyyat mein kaT di
ab mere KHwab nind ka radd-e-amal nahin
kya kya ata-e-neamat-e-rabb-e-karim hai
lekin 'samir' dard ka nemul-badal nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.