tayyun tasalsul hai naqsh-e-badan ka
tayyun tasalsul hai naqsh-e-badan ka
Pandit Jawahar Nath Saqi
MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi
ta.ayyun tasalsul hai naqsh-e-badan kā
usī se ta.alluq hai ye jān-o-tan kā
tasavvuf tabaddul hai ādāt-e-bad kā
ta.arruf natīja hai ḳhulq-e-hasan kā
vahī gul shajar hai vahī bostāñ hai
vahī aap hai bāġhbāñ is chaman kā
vo be-kaif-o-kam hai qadīm-o-azal se
usī se hai ye naqsh-e-dahr-e-kuhan kā
tavallā samajh ham-zabānī se behtar
ta.ashshuq huā ham-dam-o-ham-suḳhan kā
ram-o-shauq kī bhī ajā.ib kashish hai
burā haal hai āshiq-e-ḳhasta-tan kā
jo sirr-e-ḳhafī hai vo ain-e-jalī hai
khulā aaj uqda ye sirr-e-dahan kā
latāif meñ muzmar hai tasvīr-e-vahdat
ye ḳhalvat meñ paidā hai lutf anjuman kā
nazar bar-qadam hai tarīq-e-tasavvur
ram-o-shauq jaada hai sirr-o-elan kā
nihāñ se ayaañ hai ayaañ meñ nihāñ hai
ye jaada milā hai safar dar-vatan kā
sulūk-e-tarīqat hai āfāq-o-anfus
ki jalva hai tanzīh meñ sīm-tan kā
vo be-parda bhī parda-posh-e-nazar hai
hijāb aa gayā hai hameñ husn-e-zan kā
kabhī shād-o-ḳhandāñ kabhī zār-o-nālāñ
tamāshā hai 'sāqī' ke dīvāna-pan kā
tayyun tasalsul hai naqsh-e-badan ka
usi se talluq hai ye jaan-o-tan ka
tasawwuf tabaddul hai aadat-e-bad ka
tarruf natija hai KHulq-e-hasan ka
wahi gul shajar hai wahi bostan hai
wahi aap hai baghban is chaman ka
wo be-kaif-o-kam hai qadim-o-azal se
usi se hai ye naqsh-e-dahr-e-kuhan ka
tawalla samajh ham-zabani se behtar
tashshuq hua ham-dam-o-ham-suKHan ka
ram-o-shauq ki bhi ajaib kashish hai
bura haal hai aashiq-e-KHasta-tan ka
jo sirr-e-KHafi hai wo ain-e-jali hai
khula aaj uqda ye sirr-e-dahan ka
lataif mein muzmar hai taswir-e-wahdat
ye KHalwat mein paida hai lutf anjuman ka
nazar bar-qadam hai tariq-e-tasawwur
ram-o-shauq jada hai sirr-o-elan ka
nihan se ayan hai ayan mein nihan hai
ye jada mila hai safar dar-watan ka
suluk-e-tariqat hai aafaq-o-anfus
ki jalwa hai tanzih mein sim-tan ka
wo be-parda bhi parda-posh-e-nazar hai
hijab aa gaya hai hamein husn-e-zan ka
kabhi shad-o-KHandan kabhi zar-o-nalan
tamasha hai 'saqi' ke diwana-pan ka
- Book : Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-52 p-49)
- Author : Pandit Jawahar Nath Saqi
- Publication : Pandit Jawahar Nath Saqi (1926)
- Edition : 1926
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.