taza aazar ka arman kahan jata hai
taaza āzār kā armān kahāñ jaatā hai
phir satā le tire qurbān kahāñ jaatā hai
kis pe dil aayā kahāñ aayā batā ai nāseh
tū mirī tarah pareshān kahāñ jaatā hai
ḳhānqāhoñ pe huā pīr-e-muġhāñ kā qabza
aaj mai-ḳhāne kā sāmān kahāñ jaatā hai
dil salāmat nahīñ aane kā 'mubārak' ba-ḳhudā
are nādān kahā maan kahāñ jaatā hai
taza aazar ka arman kahan jata hai
phir sata le tere qurban kahan jata hai
kis pe dil aaya kahan aaya bata ai naseh
tu meri tarah pareshan kahan jata hai
KHanqahon pe hua pir-e-mughan ka qabza
aaj mai-KHane ka saman kahan jata hai
dil salamat nahin aane ka 'mubarak' ba-KHuda
are nadan kaha man kahan jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.