taza-ba-taza subh ke aKHbar ki tarah
tāza-ba-tāza sub.h ke aḳhbār kī tarah
bechā gayā aaj bhī har baar kī tarah
qātil haiñ merī jaan kā dushman hai vo magar
miltā hai mujh se jo kisī ġham-ḳhvār kī tarah
ek shai ki jis kā naam hai ehsās zehn meñ
paiham khaTaktā rahtā hai ik ḳhaar kī tarah
maiñ apnī be-gunāhī pe ḳhud apne aap meñ
rahtā huuñ sharm-sār gunahgār kī tarah
karte haiñ baat baat meñ jazboñ kā mol-tol
karte haiñ log pyaar bhī bevpār kī tarah
chāhat bhī un kī hotī hai nafrat liye hue
iqrār bhī vo karte haiñ inkār kī tarah
'āġhāz' har ek bazm meñ har ik zabān par
hai us kā tazkira mire ash.ār kī tarah
taza-ba-taza subh ke aKHbar ki tarah
becha gaya aaj bhi har bar ki tarah
qatil hain meri jaan ka dushman hai wo magar
milta hai mujh se jo kisi gham-KHwar ki tarah
ek shai ki jis ka nam hai ehsas zehn mein
paiham khaTakta rahta hai ek KHar ki tarah
main apni be-gunahi pe KHud apne aap mein
rahta hun sharm-sar gunahgar ki tarah
karte hain baat baat mein jazbon ka mol-tol
karte hain log pyar bhi bewpar ki tarah
chahat bhi un ki hoti hai nafrat liye hue
iqrar bhi wo karte hain inkar ki tarah
'aghaz' har ek bazm mein har ek zaban par
hai us ka tazkira mere ashaar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.