taza-dam jawani rakh
tāza-dam javānī rakh
ḳhuun meñ kuchh tuġhyānī rakh
vaqt ke dāman meñ koī
apnī ek kahānī rakh
dost banāne kī ḳhātir
sūrat sab pahchānī rakh
tere dil tak aa.uuñ maiñ
itnī to āsānī rakh
mere ghar ke āñgan meñ
koī shaam suhānī rakh
pal-do-pal kī ḳhātir hī
sāñsoñ kī arzānī rakh
fan kā apne tū bhī 'tapish'
naqsh koī lā-sānī rakh
taza-dam jawani rakh
KHun mein kuchh tughyani rakh
waqt ke daman mein koi
apni ek kahani rakh
dost banane ki KHatir
surat sab pahchani rakh
tere dil tak aaun main
itni to aasani rakh
mere ghar ke aangan mein
koi sham suhani rakh
pal-do-pal ki KHatir hi
sanson ki arzani rakh
fan ka apne tu bhi 'tapish'
naqsh koi la-sani rakh
- Book : Mata-e-Aainda (Pg. 9)
- Author : Abdussamad Tapish
- Publication : Abdussamad Tapish (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.