taza-dam pur-azm shoala-bar din
tāza-dam pur-azm sho.ala-bār din
shaam ko sābit huā be-kār din
zard kirneñ sard jhoñke gard ham
kis tarah kāTeñ ye shab-āsār din
sub.h ko rahte haiñ ham fālij-zada
raat ko miltā nahīñ ayyār din
bhuuk le kar ḳhvān meñ aa.ī hai shaam
aa.egā kal tishnagī-bardār din
umr ya.anī laash kā lambā safar
zindagī kī umr bas do-chār din
raat hī ko chal diyā vo qāfila
ab kurede raakh kā ambār din
kis binā par koī samjhauta kareñ
tum numūd-e-shab mirā iz.hār din
āp-bītī kyā likhūñ kyūñkar likhūñ
haiñ kahāñ kuchh qābil-e-iz.hār din
raat bhar is soch meñ jaagā kiye
ab kahāñ kāTeñge ik be-kār din
taza-dam pur-azm shoala-bar din
sham ko sabit hua be-kar din
zard kirnen sard jhonke gard hum
kis tarah kaTen ye shab-asar din
subh ko rahte hain hum falij-zada
raat ko milta nahin ayyar din
bhuk le kar KHwan mein aai hai sham
aaega kal tishnagi-bardar din
umr yani lash ka lamba safar
zindagi ki umr bas do-chaar din
raat hi ko chal diya wo qafila
ab kurede rakh ka ambar din
kis bina par koi samjhauta karen
tum numud-e-shab mera izhaar din
aap-biti kya likhun kyunkar likhun
hain kahan kuchh qabil-e-izhaar din
raat bhar is soch mein jaga kiye
ab kahan kaTenge ek be-kar din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.