taza mohabbaton ka nasha jism-o-jaan mein hai
taaza mohabbatoñ kā nasha jism-o-jāñ meñ hai
phir mausam-e-bahār mire gulsitāñ meñ hai
ik ḳhvāb hai ki bār-e-digar dekhte haiñ ham
ik āshnā sī raushnī saare makāñ meñ hai
tābish meñ apnī mahr-o-mah-o-najm se sivā
jugnū sī ye zamīñ jo kaf-e-āsmāñ meñ hai
ik shāḳh-e-yāsmīn thī kal tak ḳhizāñ-asar
aur aaj saarā baaġh usī kī amaañ meñ hai
ḳhushbū ko tark kar ke na laa.e chaman meñ rañg
itnī to sūjh-būjh mire bāġhbāñ meñ hai
lashkar kī aañkh māl-e-ġhanīmat pe hai lagī
sālār-e-fauj aur kisī imtihāñ meñ hai
har jāñ-nisār yād-dahānī meñ munhamik
nekī kā har hisāb dil-e-dostāñ meñ hai
hairat se dekhtā hai samundar mirī taraf
kashtī meñ koī baat hai yā bādbāñ meñ hai
taza mohabbaton ka nasha jism-o-jaan mein hai
phir mausam-e-bahaar mere gulsitan mein hai
ek KHwab hai ki bar-e-digar dekhte hain hum
ek aashna si raushni sare makan mein hai
tabish mein apni mahr-o-mah-o-najm se siwa
jugnu si ye zamin jo kaf-e-asman mein hai
ek shaKH-e-yasmin thi kal tak KHizan-asar
aur aaj sara bagh usi ki aman mein hai
KHushbu ko tark kar ke na lae chaman mein rang
itni to sujh-bujh mere baghban mein hai
lashkar ki aankh mal-e-ghanimat pe hai lagi
salar-e-fauj aur kisi imtihan mein hai
har jaan-nisar yaad-dahani mein munhamik
neki ka har hisab dil-e-dostan mein hai
hairat se dekhta hai samundar meri taraf
kashti mein koi baat hai ya baadban mein hai
- Book : mah-e-tamam (Pg. 74)
- Author : Parveen Shakir
- Publication : Educational Publishing House (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.