Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

taza phul sajaen kyun hum kamre ke gul-danon mein

Adnan Mohsin

taza phul sajaen kyun hum kamre ke gul-danon mein

Adnan Mohsin

MORE BYAdnan Mohsin

    taaza phuul sajā.eñ kyuuñ ham kamre ke gul-dānoñ meñ

    terī ḳhushbū shāmil hai rozāna ke mehmānoñ meñ

    kaisī kaisī bastī ujḌī ahl-e-ḳhirad ke hāthoñ se

    dīvānoñ ne shahr basā.e kar registānoñ meñ

    apne aañsū dafn hue haiñ aañkh giilī qabroñ meñ

    apnī chīḳheñ qaid rahī haiñ zehnoñ ke zindānoñ meñ

    us ke ruup dhuup saaya chhāñv bichhāte peḌoñ par

    us shoḳh hañsī charchā shahr ke qahva ḳhānoñ meñ

    dhuñd to poñchhī bhī saktī hai chashme ke shīshoñ se

    vaqt raakh paḌī rahtī hai ThanDe ātish-dānoñ meñ

    pairoñ se Takrāte haiñ jab jhoñke sard havāoñ ke

    haath larazne lag jaate haiñ chamḌe ke dastānoñ meñ

    tanhā.ī bhārī patthar ek zarā sarkā hai

    kaḌiyoñ āvāz paḌī hai ik qaidī ke kānoñ meñ

    taza phul sajaen kyun hum kamre ke gul-danon mein

    teri KHushbu shamil hai rozana ke mehmanon mein

    kaisi kaisi basti ujDi ahl-e-KHirad ke hathon se

    diwanon ne shahr basae ja kar registanon mein

    apne aansu dafn hue hain aankh ki gili qabron mein

    apni chiKHen qaid rahi hain zehnon ke zindanon mein

    us ke rup ki dhup ka saya chhanw bichhate peDon par

    us ki shoKH hansi ka charcha shahr ke qahwa KHanon mein

    dhund to ponchhi bhi ja sakti hai chashme ke shishon se

    waqt ki rakh paDi rahti hai ThanDe aatish-danon mein

    pairon se Takraate hain jab jhonke sard hawaon ke

    hath larazne lag jate hain chamDe ke dastanon mein

    tanhai ka bhaari patthar ek zara sa sarka hai

    kaDiyon ki aawaz paDi hai ek qaidi ke kanon mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now