tab tak hain mere ye dar-o-diwar salamat
tab tak haiñ mire ye dar-o-dīvār salāmat
jab tak hai mire haath meñ talvār salāmat
kis vaqt tujhe sulh kī sūjhī mire sālār
dushman mire jab rah ga.e do-chār salāmat
de aa.e haiñ tāvān meñ socheñ bhī zabāñ bhī
yūñhī to nahīñ aa.e mire yaar salāmat
baTnā hai mujhe dā.era-dar-dā.era yūñhī
jab tak hai tire haath meñ parkār salāmat
sarmad ho ki suqrāt ho mansūr ki 'ādil'
in hī se hai sachchā.ī kā pindār salāmat
tab tak hain mere ye dar-o-diwar salamat
jab tak hai mere hath mein talwar salamat
kis waqt tujhe sulh ki sujhi mere salar
dushman mere jab rah gae do-chaar salamat
de aae hain tawan mein sochen bhi zaban bhi
yunhi to nahin aae mere yar salamat
baTna hai mujhe daera-dar-daera yunhi
jab tak hai tere hath mein parkar salamat
sarmad ho ki suqraat ho mansur ki 'adil'
in hi se hai sachchai ka pindar salamat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.