tabassum ko dil-arai mein rakhiye
tabassum ko dil-ārā.ī meñ rakhiye
magar ġham dil kī gahrā.ī meñ rakhiye
har ik se khul ke miliye dil se lekin
koī parda shanāsā.ī meñ rakhiye
akele meñ janam lete haiñ sapne
javānī ko na tanhā.ī meñ rakhiye
marāsim aur apnoñ se marāsim
sañbhal kar paañv gahrā.ī meñ rakhiye
na jaane kab havā chal jaa.e 'tābāñ'
bujhā kar aag añgnā.ī meñ rakhiye
tabassum ko dil-arai mein rakhiye
magar gham dil ki gahrai mein rakhiye
har ek se khul ke miliye dil se lekin
koi parda shanasai mein rakhiye
akele mein janam lete hain sapne
jawani ko na tanhai mein rakhiye
marasim aur apnon se marasim
sanbhal kar panw gahrai mein rakhiye
na jaane kab hawa chal jae 'taban'
bujha kar aag angnai mein rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.