tabdili-e-mahaul to dushwar nahin hai
tabdīlī-e-māhaul to dushvār nahīñ hai
lekin dil-e-insāñ abhī bedār nahīñ hai
sahbā-e-mohabbat se jo sarshār nahīñ hai
kuchh aur use kahiye vo mai-ḳhvār nahīñ hai
ai dast-e-junūñ ab to sukūñ mil gayā tujh ko
ab to mire dāman meñ koī taar nahīñ hai
kuchh der zarā aur Thahar ai ġham-e-jānāñ
tū hai to ġham-e-zīst girāñ-bār nahīñ hai
dil anjuman-e-‘aish se bezār hai lekin
duniyā-e-ġham-e-'ishq se bezār nahīñ hai
Dartā huuñ ki ye rasm kahīñ 'aam na ho jaa.e
varna mujhe ḳhauf-e-rasan-o-dār nahīñ hai
in mast nigāhoñ se jo piitā hai vo mai-ḳhvār
saaqī kī tavajjoh kā talabgār nahīñ hai
ham aur ġham-e-'ishq kā shikva are tauba
arbāb-e-mohabbat kā ye me'yār nahīñ hai
jām-e-mai-e-‘irfāñ kā talabgār hai 'ārif'
jām-e-mai-e-rañgīñ kā parastār nahīñ hai
tabdili-e-mahaul to dushwar nahin hai
lekin dil-e-insan abhi bedar nahin hai
sahba-e-mohabbat se jo sarshaar nahin hai
kuchh aur use kahiye wo mai-KHwar nahin hai
ai dast-e-junun ab to sukun mil gaya tujh ko
ab to mere daman mein koi tar nahin hai
kuchh der zara aur Thahar ai gham-e-jaanan
tu hai to gham-e-zist giran-bar nahin hai
dil anjuman-e-‘aish se bezar hai lekin
duniya-e-gham-e-'ishq se bezar nahin hai
Darta hun ki ye rasm kahin 'am na ho jae
warna mujhe KHauf-e-rasan-o-dar nahin hai
in mast nigahon se jo pita hai wo mai-KHwar
saqi ki tawajjoh ka talabgar nahin hai
hum aur gham-e-'ishq ka shikwa are tauba
arbab-e-mohabbat ka ye me'yar nahin hai
jam-e-mai-e-‘irfan ka talabgar hai 'arif'
jam-e-mai-e-rangin ka parastar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.