tabdiliyon ki rah pe chalne to de mujhe
tabdīliyoñ kī raah pe chalne to de mujhe
ḳhud ko badal rahā huuñ badalne to de mujhe
bachcha nahīñ huuñ maiñ jo bhaTak jā.ūñgā kahīñ
tanhā rah-e-hayāt meñ chalne to de mujhe
jaltā huā charāġh agar hai mirā vajūd
phir apne dil ke taaq meñ jalne to de mujhe
gar merī dastaras meñ nahīñ āsmāñ kā chāñd
mahtāb-sūratoñ se bahalne to de mujhe
ban jā.ūñgā kiran tirī sub.h-e-jamāl kī
tū apne rañg ruup meñ Dhalne to de mujhe
bār-e-ġham-e-hayāt uThā lūñgā aur bhī
ai inqilāb-e-dahr sambhalne to de mujhe
dam toḌ deñgī ḳhud hī purānī rivāyateñ
ā.īn-e-mulk-e-shauq badalne to de mujhe
mil jā.egā mujhe bhī ujāloñ kā rāsta
zindān-e-tīrgī se nikalne to de mujhe
tabdiliyon ki rah pe chalne to de mujhe
KHud ko badal raha hun badalne to de mujhe
bachcha nahin hun main jo bhaTak jaunga kahin
tanha rah-e-hayat mein chalne to de mujhe
jalta hua charagh agar hai mera wajud
phir apne dil ke taq mein jalne to de mujhe
gar meri dastaras mein nahin aasman ka chand
mahtab-suraton se bahalne to de mujhe
ban jaunga kiran teri subh-e-jamal ki
tu apne rang rup mein Dhalne to de mujhe
bar-e-gham-e-hayat uTha lunga aur bhi
ai inqilab-e-dahr sambhalne to de mujhe
dam toD dengi KHud hi purani riwayaten
aain-e-mulk-e-shauq badalne to de mujhe
mil jaega mujhe bhi ujalon ka rasta
zindan-e-tirgi se nikalne to de mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.