tabiat koi din mein bhar jaegi
tabī.at koī din meñ bhar jā.egī
chaḌhī hai ye āñdhī utar jā.egī
raheñgī dam-e-marg tak ḳhvāhisheñ
ye niyyat koī aaj bhar jā.egī
rahe pairvī hijr ho yā visāl
ki ik baat āḳhir Thahar jā.egī
mohabbat meñ ai dil na Dar sar pe khel
vo baazī nahīñ ye ki har jā.egī
na guzrī shab-e-hijr samjhe the ham
taḌapte phaḌakte guzar jā.egī
diyā dil to ai 'dāġh' andesha kyā
guzarnī jo hogī guzar jā.egī
tabiat koi din mein bhar jaegi
chaDhi hai ye aandhi utar jaegi
rahengi dam-e-marg tak KHwahishen
ye niyyat koi aaj bhar jaegi
rahe pairwi hijr ho ya visal
ki ek baat aaKHir Thahar jaegi
mohabbat mein ai dil na Dar sar pe khel
wo bazi nahin ye ki har jaegi
na guzri shab-e-hijr samjhe the hum
taDapte phaDakte guzar jaegi
diya dil to ai 'dagh' andesha kya
guzarni jo hogi guzar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.