tabib ho ke bhi dil ki dawa nahin karte
tabīb ho ke bhī dil kī davā nahīñ karte
ham apne zaḳhmoñ se koī daġhā nahīñ karte
parinde uḌne lage haiñ ġhurūr ke tere
havā meñ kāġhzī par se uḌā nahīñ karte
nakel Dālnī hai nafs ke irādoñ par
binā lagām ke ghoḌe thamā nahīñ karte
duā ko haath uThāte nahīñ har ik ke liye
to ye bhī sach hai ki ham bad-duā nahīñ karte
ye surḳh āñdhiyāñ kyā 'chāñd' kā bigāḌeñgī
buland peḌ havā se girā nahīñ karte
tabib ho ke bhi dil ki dawa nahin karte
hum apne zaKHmon se koi dagha nahin karte
parinde uDne lage hain ghurur ke tere
hawa mein kaghzi par se uDa nahin karte
nakel Dalni hai nafs ke iradon par
bina lagam ke ghoDe thama nahin karte
dua ko hath uThate nahin har ek ke liye
to ye bhi sach hai ki hum bad-dua nahin karte
ye surKH aandhiyan kya 'chand' ka bigaDengi
buland peD hawa se gira nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.