taDap se chiKH uTThega jo use KHun-Khaar kah denge
taDap se chiKH uTThega jo use KHun-Khaar kah denge
Jai Raj Singh Jhala
MORE BYJai Raj Singh Jhala
taḌap se chīḳh uTThegā jo use ḳhūñ-ḳhār kah deñge
kahegā āp-bītī jo use bīmār kah deñge
ye aalam hai ki gar kuchh bhī kahā in aql vāloñ se
to ye us meñ milā kar aur bhī do-chār kah deñge
vo rahte haiñ jahāñ par jānte haiñ ye jahannum hai
magar bechāre ġham ke maare sab finnār kah deñge
gar un se pūchhā jaa.e aap ne āḳhir kiyā hī kyā
khaḌī kar aaTh das īñTeñ use mīnār kah deñge
bavanDar se makāñ gar gir ga.e mere adūoñ ke
to ye tānūr ko bhī merā janib-dār kah deñge
rahā jo phūloñ se parde haTāne kī himāyat meñ
usī ġham-ḳhvār ko sab tālib-e-dīdār kah deñge
badalte daur meñ ik khel dekhegā madārī bhī
rakhā jo jeb meñ hogā use dīnār kah deñge
mire hāthoñ banegā jo bhī vo be-kār hī hogā
musavvir kī har ik tasvīr ko shahkār kah deñge
hunar ab siikh lo 'jhālā' kahīñ se ġham-nigārī kā
yahāñ sab dil jale hī haiñ tumheñ fankār kah deñge
taDap se chiKH uTThega jo use KHun-KHar kah denge
kahega aap-biti jo use bimar kah denge
ye aalam hai ki gar kuchh bhi kaha in aql walon se
to ye us mein mila kar aur bhi do-chaar kah denge
wo rahte hain jahan par jaante hain ye jahannum hai
magar bechaare gham ke mare sab finnar kah denge
gar un se puchha jae aap ne aaKHir kiya hi kya
khaDi kar aaTh das inTen use minar kah denge
bawanDar se makan gar gir gae mere aduon ke
to ye tanur ko bhi mera janib-dar kah denge
raha jo phulon se parde haTane ki himayat mein
usi gham-KHwar ko sab talib-e-didar kah denge
badalte daur mein ek khel dekhega madari bhi
rakha jo jeb mein hoga use dinar kah denge
mere hathon banega jo bhi wo be-kar hi hoga
musawwir ki har ek taswir ko shahkar kah denge
hunar ab sikh lo 'jhaala' kahin se gham-nigari ka
yahan sab dil jale hi hain tumhein fankar kah denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.