tadbir se bigDi hui taqdir bana le
tadbīr se bigḌī huī taqdīr banā le
apne pe bharosa hai to ik daav lagā le
Dartā hai zamāne kī nigāhoñ se bhalā kyoñ
insāf tire saath hai ilzām uThā le
kyā ḳhaak vo jiinā hai jo apne hī liye ho
ḳhud miT ke kisī aur ko miTne se bachā le
TuuTe hue patvār haiñ kashtī ke to ham kyā
haarī huī bāhoñ ko hī patvār banā de
tadbir se bigDi hui taqdir bana le
apne pe bharosa hai to ek daw laga le
Darta hai zamane ki nigahon se bhala kyon
insaf tere sath hai ilzam uTha le
kya KHak wo jina hai jo apne hi liye ho
KHud miT ke kisi aur ko miTne se bacha le
TuTe hue patwar hain kashti ke to hum kya
haari hui bahon ko hi patwar bana de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.