tafsil batane se kinara hi kiya hai
tafsīl batāne se kināra hī kiyā hai
kyā chāhtā huuñ us ko ishāra hī kiyā hai
mushkil thā agar koī to vo biich meñ chhoḌā
āsān milā mujh ko to saarā hī kiyā hai
us kā mutabādil bhī usī tarah kā DhūñDā
ya.anī ki ḳhasāre pe ḳhasāra hī kiyā hai
jab ek dafa se na huī utnī tashaffī
phir saare ke saare ko dobāra hī kiyā hai
hālāñki pahuñch se kahīñ bāhar hai ye phir bhī
koī na koī ham ne to chāra hī kiyā hai
vaisā hī javāb us ko maiñ de saktā thā lekin
vo kahtā rahā jo bhī gavārā hī kiyā hai
darpesh qaziyye the hameñ aur bhī lekin
sab chhoḌ ke bas kaam tumhārā hī kiyā hai
bilkul hī na hone se to kuchh honā hai behtar
jaisā bhī milā ham ne guzāra hī kiyā hai
tafsil batane se kinara hi kiya hai
kya chahta hun us ko ishaara hi kiya hai
mushkil tha agar koi to wo bich mein chhoDa
aasan mila mujh ko to sara hi kiya hai
us ka mutabaadil bhi usi tarah ka DhunDa
yani ki KHasare pe KHasara hi kiya hai
jab ek dafa se na hui utni tashaffi
phir sare ke sare ko dobara hi kiya hai
haalanki pahunch se kahin bahar hai ye phir bhi
koi na koi hum ne to chaara hi kiya hai
waisa hi jawab us ko main de sakta tha lekin
wo kahta raha jo bhi gawara hi kiya hai
darpesh qaziyye the hamein aur bhi lekin
sab chhoD ke bas kaam tumhaara hi kiya hai
bilkul hi na hone se to kuchh hona hai behtar
jaisa bhi mila hum ne guzara hi kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.