tah-e-dāmāñ charāġh raushan hai
ziist merī baqā kā bachpan hai
shikva-e-zulm-o-jaur kis se kareñ
aadmī aadmī kā dushman hai
ek alaav hai ye dahaktā huā
tumheñ jis par gumān-e-gulshan hai
phuñk rahā hai chaman chaman lekin
aap farmā rahe haiñ sāvan hai
kaun hastī ke silsile ko bujhā.e
ek se ek diip raushan hai
zindagī se kahāñ farār 'salām'
sīna-e-marg meñ bhī dhaḌkan hai
tah-e-daman charagh raushan hai
zist meri baqa ka bachpan hai
shikwa-e-zulm-o-jaur kis se karen
aadmi aadmi ka dushman hai
ek alaw hai ye dahakta hua
tumhein jis par guman-e-gulshan hai
phunk raha hai chaman chaman lekin
aap farma rahe hain sawan hai
kaun hasti ke silsile ko bujhae
ek se ek dip raushan hai
zindagi se kahan farar 'salam'
sina-e-marg mein bhi dhaDkan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.