Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tahi-umid mujhe rokna hai KHu kis ki

Akash Arsh

tahi-umid mujhe rokna hai KHu kis ki

Akash Arsh

MORE BYAkash Arsh

    tahī-umīd mujhe roknā hai ḳhū kis

    ba-īñ-sadā-e-qadam hai nidā-e-hū kis

    ye kaun tere sivā kar sakā udaas mujhe

    tire ḳhayāl ne chheḌī thī guftugū kis

    maiñ mutma.in huuñ isī ḳhvāb ḳhvāb sahrā meñ

    uḌā rahā huuñ magar ḳhāk-e-ārzū kis

    koī parind uḌā pīpaloñ ke jhurmuT se

    bikhertā gayā chīḳheñ chahār-sū kis

    had-e-nigāh talak raat ḳhalā hai 'arsh'

    koī nigāh kare bhī to justujū kis

    tahi-umid mujhe rokna hai KHu kis ki

    ba-in-sada-e-qadam hai nida-e-hu kis ki

    ye kaun tere siwa kar saka udas mujhe

    tere KHayal ne chheDi thi guftugu kis ki

    main mutmain hun isi KHwab KHwab sahra mein

    uDa raha hun magar KHak-e-arzu kis ki

    koi parind uDa pipalon ke jhurmuT se

    bikherta gaya chiKHen chahaar-su kis ki

    had-e-nigah talak raat ka KHala hai 'arsh'

    koi nigah kare bhi to justuju kis ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now