tai apni qaid ki miad karte jaenge
tai apnī qaid kī mī.ād karte jā.eñge
udaas rut meñ tujhe yaad karte jā.eñge
ham is tarah se baTā.eñge haath duniyā kā
kuchh ek ġham na.e ījād karte jā.eñge
jagah jagah pe bikhreñge ham sadā.eñ aur
ḳhamosh raat ko barbād karte jā.eñge
milā ashk-o-lahū kī namī ko aapas meñ
sarāb shahr meñ ābād karte jā.eñge
tai apni qaid ki miad karte jaenge
udas rut mein tujhe yaad karte jaenge
hum is tarah se baTaenge hath duniya ka
kuchh ek gham nae ijad karte jaenge
jagah jagah pe bikhrenge hum sadaen aur
KHamosh raat ko barbaad karte jaenge
mila ashk-o-lahu ki nami ko aapas mein
sarab shahr mein aabaad karte jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.