tai na kar pai manzilen titli
tai na kar paa.ī manzileñ titlī
phañs ga.ī mere jaal meñ titlī
raat ke vaqt jeb meñ jugnū
sub.h-tā-shām haath meñ titlī
ik nayā rañg dekhtī hai aañkh
jab bhī letī hai karvaTeñ titlī
chauk meñ DhūñDne se kyā hāsil
DhūñDiye jā ke baaġh meñ titlī
sau tarah ke fareb detī hai
sau banātī hai sūrateñ titlī
haath 'jāmid' jo aa nahīñ saktī
istia.aran use kaheñ titlī
tai na kar pai manzilen titli
phans gai mere jal mein titli
raat ke waqt jeb mein jugnu
subh-ta-sham hath mein titli
ek naya rang dekhti hai aankh
jab bhi leti hai karwaTen titli
chauk mein DhunDne se kya hasil
DhunDiye ja ke bagh mein titli
sau tarah ke fareb deti hai
sau banati hai suraten titli
hath 'jamid' jo aa nahin sakti
istiaran use kahen titli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.