tajalli se teri mamur hona
tajallī se tirī māmūr honā
koī dekhe mirā maġhrūr honā
isī kā naam shāyad zindagī hai
kabhī hañsnā kabhī ranjūr honā
tirī mahfil meñ aakar ham ne dekhā
kisī muḳhtār kā majbūr honā
haqīqat meñ hai me.arāj-e-mohabbat
tamannāoñ kā dil se duur honā
na ban jaa.e koī taaza musībat
dil-e-nādān kā masrūr honā
zarā fursat mile to dekh jaao
dil-e-'zaidī' kā ġham se chuur honā
tajalli se teri mamur hona
koi dekhe mera maghrur hona
isi ka nam shayad zindagi hai
kabhi hansna kabhi ranjur hona
teri mahfil mein aakar hum ne dekha
kisi muKHtar ka majbur hona
haqiqat mein hai mearaj-e-mohabbat
tamannaon ka dil se dur hona
na ban jae koi taza musibat
dil-e-nadan ka masrur hona
zara fursat mile to dekh jao
dil-e-'zaidi' ka gham se chur hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.