tak raha hai tu aasman mein kya
tak rahā hai tū āsmān meñ kyā
hai abhī tak kisī uḌaan meñ kyā
vo jo ik tujh ko jaañ se pyārā thā
ab bhī aatā hai tere dhyān meñ kyā
kyā nahīñ hogī phir mirī takmīl
koī tujh sā nahīñ jahān meñ kyā
ham to terī kahānī likh aa.e
tū ne likkhā hai imtihān meñ kyā
ho hī jaate haiñ jab judā donoñ
phir ta.alluq hai jism-o-jān meñ kyā
ham qafas meñ haiñ uḌne vaale batā
hai vahī lutf āsmān meñ kyā
paḌh rahe ho jo itnī ġhaur se tum
kuchh nayā-pan hai dāstān meñ kyā
urdu vaale kamāl dikhte haiñ
koī jaadū hai is zabān meñ kyā
tak raha hai tu aasman mein kya
hai abhi tak kisi uDan mein kya
wo jo ek tujh ko jaan se pyara tha
ab bhi aata hai tere dhyan mein kya
kya nahin hogi phir meri takmil
koi tujh sa nahin jahan mein kya
hum to teri kahani likh aae
tu ne likkha hai imtihan mein kya
ho hi jate hain jab juda donon
phir talluq hai jism-o-jaan mein kya
hum qafas mein hain uDne wale bata
hai wahi lutf aasman mein kya
paDh rahe ho jo itni ghaur se tum
kuchh naya-pan hai dastan mein kya
urdu wale kamal dikhte hain
koi jadu hai is zaban mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.