taKHliq ka andaz nikal aur tarah ka
taḳhlīq kā andāz nikāl aur tarah kā
peḌā koī ab chaak pe Daal aur tarah kā
dil hoñge diloñ meñ koī dhaḌkan nahīñ hogī
insān pe aanā hai zavāl aur tarah kā
aflāk kī mash.al se añdhere na miTeñge
sūraj koī dhartī se uchhāl aur tarah kā
muddat se mire nutq-o-taḳhayyul meñ Thanī hai
lafz aur tarah ke haiñ ḳhayāl aur tarah kā
vo duur se email pe kar lete haiñ bāteñ
hijr aur tarah kā hai visāl aur tarah kā
duniyā kī sabhī āñkheñ haiñ us aañkh pe hairāñ
ab dasht meñ aayā hai ġhazāl aur tarah kā
qīmat bhī koī pūchhne aatā nahīñ 'sābir'
dūkān meñ Daalā hai jo maal aur tarah kā
taKHliq ka andaz nikal aur tarah ka
peDa koi ab chaak pe Dal aur tarah ka
dil honge dilon mein koi dhaDkan nahin hogi
insan pe aana hai zawal aur tarah ka
aflak ki mashal se andhere na miTenge
suraj koi dharti se uchhaal aur tarah ka
muddat se mere nutq-o-taKHayyul mein Thani hai
lafz aur tarah ke hain KHayal aur tarah ka
wo dur se email pe kar lete hain baaten
hijr aur tarah ka hai visal aur tarah ka
duniya ki sabhi aankhen hain us aankh pe hairan
ab dasht mein aaya hai ghazal aur tarah ka
qimat bhi koi puchhne aata nahin 'sabir'
dukan mein Dala hai jo mal aur tarah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.