taKHliq kise kahte hain hai azmat-e-fan kya
taḳhlīq kise kahte haiñ hai azmat-e-fan kyā
āvāz-faroshoñ ke liye sher-o-suḳhan kyā
phūloñ kī tijārat kā chalan aam hai ab bhī
luTtī hī rahegī yūñhī taqdīs-e-chaman kyā
mazlūm kī chīḳhoñ ko bhī suntā nahīñ koī
is shahr meñ baste haiñ sabhī sañg-badan kyā
ham aa to ga.e ban ke ziyā zulmat-e-shab meñ
is ghor añdhere meñ magar ek kiran kyā
vaqt aane pe sar apnā kaTā dete haiñ 'rahbar'
ham ko nahīñ mālūm ki hai hubb-e-vatan kyā
taKHliq kise kahte hain hai azmat-e-fan kya
aawaz-faroshon ke liye sher-o-suKHan kya
phulon ki tijarat ka chalan aam hai ab bhi
luTti hi rahegi yunhi taqdis-e-chaman kya
mazlum ki chiKHon ko bhi sunta nahin koi
is shahr mein baste hain sabhi sang-badan kya
hum aa to gae ban ke ziya zulmat-e-shab mein
is ghor andhere mein magar ek kiran kya
waqt aane pe sar apna kaTa dete hain 'rahbar'
hum ko nahin malum ki hai hubb-e-watan kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.