takmil hone wala hai aiwan-e-shaeri
takmīl hone vaalā hai aivān-e-shā.erī
mujh par huā ajiib hī bārān-e-shā.erī
tere ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā sajā.ī hai
kamre meñ bas yahī to hai sāmān-e-shā.erī
shahvat-parast logoñ kā qabza hai har taraf
yuuñ ho rahā hai chaak garebān-e-shā.erī
mahbūb tere shauq meñ likkhā hai sab kalām
guzre tirī nazar se bhī dīvān-e-shā.erī
'jāmī' 'nazīrī' 'rūmī'-o-'bedil' ko paḌh ke dekh
labrez ḳhushbuoñ se hai gul-dān-e-shā.erī
saif-ul-mulūk 'rūmī'-e-kashmīr ne likhī
chambe kī buuTī likh gayā sultān-e-shā.erī
sab ko suḳhan kā rizq mayassar nahīñ 'razā'
har shaḳhs ke liye nahīñ maidān-e-shā.erī
takmil hone wala hai aiwan-e-shaeri
mujh par hua ajib hi baran-e-shaeri
tere KHayal-o-KHwab ki duniya sajai hai
kamre mein bas yahi to hai saman-e-shaeri
shahwat-parast logon ka qabza hai har taraf
yun ho raha hai chaak gareban-e-shaeri
mahbub tere shauq mein likkha hai sab kalam
guzre teri nazar se bhi diwan-e-shaeri
'jami' 'naziri' 'rumi'-o-'bedil' ko paDh ke dekh
labrez KHushbuon se hai gul-dan-e-shaeri
saif-ul-muluk 'rumi'-e-kashmir ne likhi
chambe ki buTi likh gaya sultan-e-shaeri
sab ko suKHan ka rizq mayassar nahin 'raza'
har shaKHs ke liye nahin maidan-e-shaeri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.