Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talash-e-rang mein aawara misl-e-bu hun main

Arzoo Lakhnavi

talash-e-rang mein aawara misl-e-bu hun main

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    talāsh-e-rañg meñ āvāra misl-e-bū huuñ maiñ

    guzar ke aap se apnī justujū huuñ maiñ

    nafas hai saḳhtī-e-qaid-e-hayāt zāmin

    nikal sake jo na phāñsī se vo gulū huuñ maiñ

    nishān-e-hastī faanī hai dāġh-e-nākāmī

    ḳhud apnī aañkh se Tapkā huā lahū huuñ maiñ

    misāl-e-paikar-e-sīmāb-e-iztirāb mudām

    pa-e-nigāh-e-karam sharh-e-ārzū huuñ maiñ

    mirī zabāñ pe haiñ andesha-hā-e-nākāmī

    samajh rahe haiñ vo dil meñ ki hīla-jū huuñ maiñ

    abhī hai āb-e-nadāmat sar-e-jabīñ baaqī

    namāz aise maiñ paḌh luuñ ki bā-vazū huuñ maiñ

    huuñ kuchh na hone pe bhī kā.enāt hāsil

    ki apnā shauq nahīñ terī aarzū huuñ maiñ

    misāl-e-ma.anī-e-be-lafz-o-lafz-e-be-ma.anī

    jo tere dil meñ nahīñ hai vo 'ārzū' huuñ maiñ

    talash-e-rang mein aawara misl-e-bu hun main

    guzar ke aap se apni hi justuju hun main

    nafas hai saKHti-e-qaid-e-hayat ka zamin

    nikal sake jo na phansi se wo gulu hun main

    nishan-e-hasti fani hai dagh-e-nakaami

    KHud apni aankh se Tapka hua lahu hun main

    misal-e-paikar-e-simab-e-iztirab mudam

    pa-e-nigah-e-karam sharh-e-arzu hun main

    meri zaban pe hain andesha-ha-e-nakaami

    samajh rahe hain wo dil mein ki hila-ju hun main

    abhi hai aab-e-nadamat sar-e-jabin baqi

    namaz aise main paDh lun ki ba-wazu hun main

    hun kuchh na hone pe bhi kaenat ka hasil

    ki apna shauq nahin teri aarzu hun main

    misal-e-mani-e-be-lafz-o-lafz-e-be-mani

    jo tere dil mein nahin hai wo 'arzu' hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now