talash kar meri barbaadiyon ka hal baba
talāsh kar mirī barbādiyoñ kā hal baabā
jo tū kahegā karūñgā vahī amal baabā
tarah tarah ke ye chole na tū badal baabā
tujhe jo faisla karnā hai kar aTal baabā
faqīr ban nahīñ saktā to oḌh kar kamlī
ḳhudī ko dil se miTā nafs ko kuchal baabā
nashe meñ zar ke bahut pagḌiyāñ uchhālī haiñ
zarūr tujh ko milegā kiye kā phal baabā
tirī talāsh meñ dair-o-haram ko chhān liyā
kahāñ chhupā hai tū āvāz de nikal baabā
fareb-e-husn se vāqif nahīñ hai tū sun le
Dagar Dagar hai kaThin jā.egā phisal baabā
lagā hai kaun sā ġham tujh ko ye batā 'ahmar'
udaas kis liye rahtā hai āj-kal baabā
talash kar meri barbaadiyon ka hal baba
jo tu kahega karunga wahi amal baba
tarah tarah ke ye chole na tu badal baba
tujhe jo faisla karna hai kar aTal baba
faqir ban nahin sakta to oDh kar kamli
KHudi ko dil se miTa nafs ko kuchal baba
nashe mein zar ke bahut pagDiyan uchhaali hain
zarur tujh ko milega kiye ka phal baba
teri talash mein dair-o-haram ko chhan liya
kahan chhupa hai tu aawaz de nikal baba
fareb-e-husn se waqif nahin hai tu sun le
Dagar Dagar hai kaThin jaega phisal baba
laga hai kaun sa gham tujh ko ye bata 'ahmar'
udas kis liye rahta hai aaj-kal baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.