talash kar na zamin aasman se bahar
Interesting Fact
based on the same meter of one of Ausat Ali Rashk's verses ' tamam tarz-e-sukhan hai beyan se bahar'
talāsh kar na zamīñ āsmān se bāhar
nahīñ hai raah koī is makān se bāhar
bas ek do hī qadam aur the safar vaale
thakān dekh na paa.ī thakān se bāhar
nisāb darja-ba-darja yuuñ hī badaltā hai
huā na koī bhī is imtihān se bāhar
usī kī justujū aksar udaas kartī hai
vo ik jahān jo hai har jahān se bāhar
namāziyoñ se kaho dekheñ chāñd-sūraj ko
nikal rahe haiñ muazzin azaan se bāhar
talash kar na zamin aasman se bahar
nahin hai rah koi is makan se bahar
bas ek do hi qadam aur the safar wale
thakan dekh na pai thakan se bahar
nisab darja-ba-darja yun hi badalta hai
hua na koi bhi is imtihan se bahar
usi ki justuju aksar udas karti hai
wo ek jahan jo hai har jahan se bahar
namaziyon se kaho dekhen chand-suraj ko
nikal rahe hain muazzin azan se bahar
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 619)
- Author : Shahid Mahili
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.