talab ki aag kisi shoala-ru se raushan hai
talab kī aag kisī sho.ala-rū se raushan hai
ḳhayāl ho ki nazar aarzū se raushan hai
janam janam ke añdheroñ ko de rahā hai shikast
vo ik charāġh ki apne lahū se raushan hai
kahīñ hujūm-e-havādis meñ kho ke rah jaatā
jamāl-e-yār mirī justujū se raushan hai
ye tābish-e-lab-e-lālīñ ye sho.ala-e-āvāz
tamām bazm tirī guftugū se raushan hai
visāl-e-yār to mumkin nahīñ magar nāseh
ruḳh-e-hayāt isī aarzū se raushan hai
talab ki aag kisi shoala-ru se raushan hai
KHayal ho ki nazar aarzu se raushan hai
janam janam ke andheron ko de raha hai shikast
wo ek charagh ki apne lahu se raushan hai
kahin hujum-e-hawadis mein kho ke rah jata
jamal-e-yar meri justuju se raushan hai
ye tabish-e-lab-e-lalin ye shoala-e-awaz
tamam bazm teri guftugu se raushan hai
visal-e-yar to mumkin nahin magar naseh
ruKH-e-hayat isi aarzu se raushan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.