talKH lahje mein bolne wale
talḳh lahje meñ bolne vaale
ham haiñ lafzoñ ko tolne vaale
ab ḳhasāre meñ haiñ siyāsat ke
apne pattoñ ko kholne vaale
tanz karte haiñ āsmānoñ par
jo haiñ shāḳhoñ pe Dolne vaale
bah ga.e nafratoñ ke dariyā meñ
rañg nafrat kā gholne vaale
ab kahāñ lahje zāfrānī se
ras bhī bātoñ se gholne vaale
merā saudā na kar sake 'shākir'
mujh ko sikkoñ meñ tolne vaale
talKH lahje mein bolne wale
hum hain lafzon ko tolne wale
ab KHasare mein hain siyasat ke
apne patton ko kholne wale
tanz karte hain aasmanon par
jo hain shaKHon pe Dolne wale
bah gae nafraton ke dariya mein
rang nafrat ka gholne wale
ab kahan lahje zafrani se
ras bhi baaton se gholne wale
mera sauda na kar sake 'shakir'
mujh ko sikkon mein tolne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.