Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talKH-sazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

Lucky farooqi Hasrat

talKH-sazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

Lucky farooqi Hasrat

MORE BYLucky farooqi Hasrat

    talḳh-sāzī ne hameñ ġham ke sivā kuchh na diyā

    be-niyāzī ne hameñ ġham ke sivā kuchh na diyā

    ham koī krishn nahīñ the thiraktī rādhā

    nai-navāzī ne hameñ ġham ke sivā kuchh na diyā

    ye kaTe haath ye nāsūr-e-badan shāhid haiñ

    teġh-bāzī ne hameñ ġham ke sivā kuchh na diyā

    us ke hoñToñ meñ ka.ī rang the rusvā.ī ke

    bosa-bāzī ne hameñ ġham ke sivā kuchh na diyā

    har tabassum ke ta.āqub meñ ka.ī aañsū haiñ

    dil-navāzī ne hameñ ġham ke sivā kuchh na diyā

    jism parhez tash.hīr banā baiThā hai

    chārasāzī ne hameñ ġham ke sivā kuchh na diyā

    koī mohra na zafar-yāb huā chāhat

    dil baazī ne hameñ ġham ke sivā kuchh na diyā

    dil masjid meñ tirī yaad hai pāband-e-salāt

    is namāzī ne hameñ ġham ke sivā kuchh na diyā

    talKH-sazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

    be-niyazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

    hum koi krishn nahin the ki thirakti radha

    nai-nawazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

    ye kaTe hath ye nasur-e-badan shahid hain

    tegh-bazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

    us ke honTon mein kai rang the ruswai ke

    bosa-bazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

    har tabassum ke taaqub mein kai aansu hain

    dil-nawazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

    jism parhez ki tashhir bana baiTha hai

    chaarasazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

    koi mohra na zafar-yab hua chahat ka

    dil ki bazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

    dil ki masjid mein teri yaad hai paband-e-salat

    is namazi ne hamein gham ke siwa kuchh na diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now