talKHi-e-gham ka jo hai mukammal jawab la
talKHi-e-gham ka jo hai mukammal jawab la
Rahmat Ilahi Barq Aazmi
MORE BYRahmat Ilahi Barq Aazmi
talḳhī-e-ġham kā jo hai mukammal javāb lā
ya.anī sharāb lā mire saaqī sharāb lā
miT jaa.eñ jis se gardish-e-daurāñ kī talḳhiyāñ
vo jām-e-ḳhush-gavār milā kar gulāb lā
vo mai ki jis se har ġham-o-andoh-o-yās kā
ho jaa.e hashr tak ke liye sadd-e-bāb lā
pī kis qadar piyūñgā abhī kis qadar na pūchh
de pahle is kā ba.ad ko lenā hisāb lā
kaalī ghaTā kī tujh ko qasam jān-e-mai-kada
tāḳhīr kar na bahr-e-ḳhudā lā shitāb lā
vo dekh sar pe chādar-e-rahmat hai zau-fagan
chhā.ī hai mai-kade pe ridā-e-sahāb lā
rāz-e-hayāt-o-maut kā uqda jo khol de
mil jaa.e jis se ḳhvāb meñ tābīr ḳhvāb lā
aisī na ho ki pī ke banūñ aur muttahim
bātil-shikan ho jo vo haqīqat-e-ma.āb lā
saaqī ġharaz ye tujh se guzārish hai 'barq' kī
āñkhoñ se jo uThā de duī kā hijāb lā
talKHi-e-gham ka jo hai mukammal jawab la
yani sharab la mere saqi sharab la
miT jaen jis se gardish-e-dauran ki talKHiyan
wo jam-e-KHush-gawar mila kar gulab la
wo mai ki jis se har gham-o-andoh-o-yas ka
ho jae hashr tak ke liye sadd-e-bab la
pi kis qadar piyunga abhi kis qadar na puchh
de pahle is ka baad ko lena hisab la
kali ghaTa ki tujh ko qasam jaan-e-mai-kada
taKHir kar na bahr-e-KHuda la shitab la
wo dekh sar pe chadar-e-rahmat hai zau-fagan
chhai hai mai-kade pe rida-e-sahab la
raaz-e-hayat-o-maut ka uqda jo khol de
mil jae jis se KHwab mein tabir KHwab la
aisi na ho ki pi ke banun aur muttahim
baatil-shikan ho jo wo haqiqat-e-maab la
saqi gharaz ye tujh se guzarish hai 'barq' ki
aankhon se jo uTha de dui ka hijab la
- Book : Tanveer-e-sukhan (Pg. 87)
- Author : Rahmat ilahi barq Azmi
- Publication : Dr. Ahmed Ali Barqi Azmi, Zakir Nagar, New Delhi-25 (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.